Internet Cookies ka Masla aur Nasamjhi (Roman Urdu)

Internet Cookies ka Masla aur Nasamjhi (Roman Urdu)
Let’s Begin
cookies
 
Aj hum baat kareingay Junk Files ki third type k baray mein, jo k hai Internet Cookies. Cookies kis ko nahi pasand hotay, especially mujhe to Chocolate Cookies buhat pasand hai J mager hum yaha per khanay ki baat kernay k lye nahi aye hai.
Internet Cookies waisey to computer users ki life ko asaan kernay k lye hi banaye gaye hai. Aur aj kal ki almost her site hi yeh feature use kerti hai taqay users ko acha browsing experience mil sakay. 

So What These Internet Cookies Really Are?
Jab bhi ap Internet se connect ho ker browsing ker rahay hotay hai ,to jin websites per ap ja rahay hotay hai aur jin jin web pages ko visit ker rahay hotay hai woh apki hard disk mein 1 text file save ker deti hai. Yeh text file mein user information (apki information) saved hoti hai, jo k websites apnay record k lye banati hai. Q k ager ap ussi site per dubara jatay hai to woh website sabse pehlay ap k computer mein us text file ko search karaygi, aur jaisey hi woh text file mil jayegi to website ko pata chal jayega k ap pehlay bhi issi web page per achukay hai. Yeh text file Cookies kehlati hai. 

Websites sirf aur sirf apni hi banaye hoi cookies files open ker sakti hai. Woh koi bhi dosri cookies files open nahi ker sakti. Cookies files mein unique visitor ID hota hai. Jab bhi koi new user kissi website per jayega to website us k pc mein cookies ki file generate ker k Us file mein usko 1 unique user ID degi, aur wohi information apnay pass bhi save kerlaygi. To is tarah se jab bhi koi user dubara jata hai site per to apni Unique User ID se pehchana jata hai. 

Cookies koi aisi dangerous chiz nahi hai jo koi bhi website ap k computer mein save ker k ap k computer mein se data nikal leingi. Aisa nahi hai. Cookies sirf 1 text file hoti hai, aur yeh khud se execute (open) nahi ho sakti. Buhat saray laug aisa bhi sochtay hai k yeh Cookies jo hai Virus hotay hai, jab k aisa nahi hai.

How This Process Actually Works?
steps
1. Ager ap apnay browser mein kissi bhi website ka address likhtay hai, to sab se pehlay apka browser us website k main server ko contact karayga jaha per yeh website saved hai ya uploaded hai
 
2. Jab server mil jayega, to woh main server ap k computer mein cookies ki file ko search karayga aur jaisey hi woh file mil jayegi to apka browser us cookies ki files mein se data nikal ker main server ko send kerday
 
3. Ager cookies ki file us website se related ap k computer mein nahi hai to woh main server ap ko as a new user treat karayga aur apko 1 unique user ID de ker apnay database mein woh information save kerlayga. Aur same file ap k browser ko bhi forward kerdayga. Phir apka browser woh cookies ki file ko folder mein save kerdayga.
 
I hope k meinay apko confuse na kia hua. Ager samajh na aya ho, to is section ko araam se dubara parhnay ki koshish karay J

Why Websites Need Cookie Files?
Aj kal ki websites buhat change ho gaye hai, aur kafi modern kissam ki websites hai jo k apnay database mein her information user se related ko save ker k rakhti hai. Jaisey k
 
1. How many visitors came today
2. How many are new visitors
3. How many times a visitor has visited to the site
4. Keeps the user preferences.
 
User preferences ka matlab hai for example, ager ap gmail k sign in page per jatay hai, aur waha per apna user id and password daal ker Remember Me per bhi click ker detay hai, to woh website ap k computer mein cookies ki file ko generate karaygi aur ap ki yeh information bhi waha save kerdaygi aur apnay pass bhi record kerlaygi. Is tarah se jab bhi ap us site per dubara jayeingay to pehlay se apna user ID likha dekheingay ya phir automatically sign in ho jayeingay bager information enter kye hoe.
 

Behind The Scenes
caution
  • Ager ap multiple browsers ko use kertay hai to phir ap ki cookies ki files apas mein synchronized nahi hoti. Matlab her browser mein her websites ap ko new user hi samjhaygi. Ager ap internet explorer se 1 site per jatay hai aur ussi website per firefox se bhi jatay hai, to 2 dafa cookies ki files generate hongi. Aur cookies ap k computer mein 2 alag jagaho per save hogi.
 
 
  • In cookies ki files ki wajah se ap ki information leak honay k bhi buhat chances hotay hai. Jaisey k ager ap koi public computer use ker rahay hai for example Internet Café, Aur waha per apni emails ko check kertay waqt ager apne Remember Me per tick laga dia to phir ap ki information us computer mein save ho jayegi cookies k ander. Ab jaisey hi koi dosra banda us computer ko use karayga to automatically ap k email account k ander chala jayega q k ap ki information waha per saved thi.
 
     
 
  • Ager ap ka Internet ka connection secured nahi hai (jaisey k wireless network) ya phir koi website hai jaha per security honi chaiye mager nahi hai (jaisey k banks ya online shopping ki sites) to phir hackers waha per anay walay her user ka data beech mein se nikal saktay hai. For example, ap to website per online shopping ker rahay hongay mager hacker background mein 1 special software ko use kertay hoe ap ki information ko Internet per se nikal lega q k woh connection hi secured nahi tha. Aisey software Packet Sniffers hotay hai
 
  • Cookies sirf websites hi nahi generate kerti balqay us website per jitnay advertisement banners hai, logos hai, links hai woh bhi cookies ki files generate kertay hai. Yeh banners, advertisements na sirf ap ka record rakhti hai balqay ap k uper nazer rakhti hai k ap kin kin websites per visit ker rahay hai aur kaha kaha click ker rahay hai. Phir yeh information woh different Marketers ko sell ker detay hai. Yeh advertisement wagera jo cookies files generate kerti hai woh Bad Cookies ya phir Malicious Cookies kehlati hai.
 
  • Ap ka computer jab bhi website per jayega to apnay comptuer mein cookies ki file ko search karayga aur phir wohi information us website ko bhi send karayga. Is chakker mein ap ka computer aur Internet dono thora slow hotay hai.
 
  • Antispyware softwares akser users ko warning detay hai k yeh cookies ki files problem karaygi q k yeh cookies ho sakta hai k tracking karay apki Internet per.
 
  • Cookies ki files waisey to koi aur dosri website open nahi ker sakti. Lekin akser site aisi programming kerti hai k jaisey hi cookies ki file generate ho wohi information dosri sites ko bhi bhej di jati hai ap k computer mein se
 

Address of Internet  Cookies: 
Ager apko cookies ki file dekhni ho apnay computer mein k kaha hoti hai, to is ka asaan tarika yeh hai k ap apnay computer mein “Cookies” likh ker search karay
address
 
 
Last Words
Hope k yeh detailed article ap k lye faiday mand ho. Q k inhi chizoun ko samajh ker ap apnay computer ki sahi se maintenance ker saktay hai. Apni next post mein mein ab finally in junk files k solution per baat kerounga k kaun sa software use kernay chaiye jin se yeh Junk Files computer mein se araam se remove ho jaye. 
 
Finally ap apnay comments / feedback mujhe bhejna mat bholyega.
 
Waiting for your replies. Thanks and Best regards.